Thak gaya hoon main.
Thak gaya hoon main apne aap se.
Aasmaan se chalakti hui umeedon se.
Zameen pe bikhrta dekh sapno se.
Thak gaya hun main apne apno se.
Thak gaya hoon main.
Thak gaya hoon main apne doston se.
Peeth pe hamla karte hamlawaron se.
Dushman ko dost banate doston se.
Thak gaya hun main apne apno se.
Thak gaya hun main.
Thak gaya hoon main apne vishwaas se.
Kamjor ho gaya apne hi hathiyaar se.
Toot gaya jo bade hi aaraam se.
Thak gaya hun main apne aap se.